” Aik Puraane Ghar K Bhayanak Raaz

“Mera naam Atif hai, aur main Multan ka rehne wala hun. Jo kahani main aapko sunane ja raha hoon, woh bohat hi purane or khofnak  ghar ki hai jo hamare Islamabad wale ghar k pass tha jahan hum pehle rehte thay lekin corona main ma or meri family multan shift hogaye. Us ghar ne mere zehan mein kai sawaal kharay kiye, jinka jawab main aaj tak dhoond raha hun.

Yeh kahani shuru hoti hai ek ajeeb or khofnak raat se, jab main us ghar ke kareeb se guzar raha tha. Wo ghar kai saalon se band para tha. Us ghar ki owner aik buzurg bewa aurat thien jinke husband ki death unki jawani main hogai thi. Inkay 3 betay or 1 beti thi, beti ki shaadi ho chuki thi or betay Canada Rehte thay, Wo Buzurg Aurat Apni Beti K Saath Uske Susral Rehtien Thien Isi wajah se Wo Ghar Kaafi Saalon Se Band Para Tha. Mujhe Us Ghar ka mahaul hamesha se kuch ajeeb sa lagta tha, Aik raat apne Ghar ka Saman Lenay k liye mera Market jana hua. Wapas apne Ghar Aate hue jab main us ghar k pass se guzra to maine mehsoos kiya k koi mera peecha kar raha hai, lekin jab maine mur kar dekha toh koi nahi tha. Meri Achanak Nazar us  Pur israr ghar par pari or pata nahi kiou mera us ghar ko andar se dekhne ka dil kiya.

Ghar ke paas pahunch kar, maine darwaza khol diya. Wo Ghar Kiou K Bohat Arse Se Band Tha To Darwaze Se Aisi Awaz Aai Jesay Darwaza Bohat Kamzor Hogya Ho. Andar dakhil hote hi mujhe ek thandak si mehsoos hui, Ghar ke kone kone se mujhe awaazein aarhi thien, lekin koi nazar nahi aarha tha.

Maine apna mobile nikala or camera on kar k kuch tasweerein lene laga. Har ek kona, har ek kamra, sab kuch capture kar raha tha. Achanak, ek kamre ka darwaza khud ba khud khula. Maine wahan kadam rakha aur andar jhankne ki koshish ki.

Kamra purani kitaabon se bhara hua tha, aur ek purani kursi bhi thi. Main kamre mein ghoomte hue pictures lene laga. Lekin phir kuch aisa hua, jis se meri rooh tak kaanpne lagi.

Kursi ne khud ba khud halka sa hilna shuru kiya, jaise koi us par baitha ho. Meri saans ruk gayi, aur main dekhta raha us ajeeb manzar ko. Kuch der baad, kursi ne ek dum se girne ka natak kiya, jaise koi invisible force use dhakka de rahi ho.

Main bhagte hue us ghar se bahar nikla, lekin ghar ke bahar bhi maine kuch bohat ajeeb sa dekha……

Raat ke andhere mein mujhe ghar ke sheeshon mein kuch chehre dikhayi dene lage. Yeh chehre muskurane lage, phir achanak rone lage. Mere dil ki dhadkan phirse tez ho gayi. Main samajh gaya k yeh ghar mujhse kuch kehna chahta hai.    Khair…..    Ma jaldi Se Bhaga or Apne Ghar Aagya.

Agli raat, main dubara us ghar gaya, yeh samajhne ke liye k kya sach mein aisa kuch hai ya yeh sab mere dimagh ka weham hai.  Khair……   Ghar mein enter karte hi Maine ajeeb si kisam ki siskiyan sunien Main Himmat kar k Aage Barhta Raha.

Maine phirse mobile nikala camera on kia aur har kone mein ghoomne laga. Ek kamre mein ja kar maine apni tasveerein dekhi, Mere haath paon kaanpne lage kiou k kuch anjaane chehre tasweeron main mere saath khade the, Mujhe aisa lag raha tha jaise woh mujhe kuch kehna chahte hain.

Us raat se har raat wahi chakkar chala, ghar ke andar ghanto ghoomta rehta. Har kona, har kamra, har cheez dekhta, mere liye wo ghar aik nayi duniya ban gaya tha. Kabhi dar, kabhi curiosity, har pal kuch naya le kar aata.

Aakhir mein, ek din ghar ke kone kone se awaazein band ho gayi. Ghar ab sukoon se bhara hua lag raha tha. Maine phirse camera nikala or recording ki, lekin is baar kuch nahi tha, kuch bhi nahi,  Kuch nazar nahi aya, kuch sunai nahi diya. Shayad woh ajeeb chehre, woh siskiyan, sab mera sub – contious mind kar raha tha.

Ya Shaid Us Ghar ne mujhe apni kahani sunayi, ek aisi kahani jismein har ek chehra, har ek awaaz, kuch keh rahi thi. Kya yeh sab waqai sach tha ya sirf mere andar ka ek bhayanak khwab tha, mujhe aaj bhi nahi pata.

Aaj bhi, jab main us ghar ke paas se guzarta hoon, dil thoda tez dhadakne lagta hai.

Kuch chezein insan ki samajh se bahar hoti hain, or shayad yahi behtar hai k hum unhain na samjhain lekin ye kahani hamesha mere zehan mein zinda rahi gi. Aur shayad, kahani hi woh sachai hai jo kabhi samajh nahi aayegi”